Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
Khuda paas hai خُدا پاس ہے
(Yakeen aur sukoon ki dastaan.)
Kaun kehta hai,
Khuda paas nahi.
Jab dard se cheekh ghat gayi,
Tab mera Khuda mere paas tha.
Jab kaatein rooh mein piro gaye,
Tab mera Khuda mere paas tha.
Jab zindagi ki rail tham si gayi,
Tab mera Khuda mere paas tha.
Jab paani hote bhi,
Ret ke khandar mile,
Tab mera Khuda mere paas tha.
Phir samajh aaya Khuda toh har pal paas tha,
Par mehsoos sirf dard-e-rooh mein hua
Toh yeh na kaho ae insaan
Khuda tere paas nahi.
Khuda toh tumhare itne paas hai,
Bas tumhe yaad nahi.
— Hifza