Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
Farz فرض
(Tum zimmedari ki kahani ho)
Hum bint-e-Hawwa ko haya sikhate sikhate,
Ibn-e-Adam ko haya, ehteraam,
Aur izzat sikhana aksar bhool jate hai.
Farz dono par hai shariyat,
Par kitni maharay se,
Ibn-e-Adam ko badi kar jaate hai.
Ibn-e-Adam ke gunahon ko
galtiyan keh kar bhool jate hai,
bint-e-Hawwa ki galtiyon se bhi
uska naam-e-amaal siyah kar jate hai.
Par khuda ke katgharein mein,
Khada toh dono ko hona hai.
Par shayad Makhluque bhool gayi hai,
Roz-e-Qayamat hisaab dono ko dena hai.
Khuda ke ghar toh taqwein mein,
Dono barabar hai.
Khuda ke ghar toh uske har
bande ka hisaab hona hai.
— Hifza