Ehsaason Ki Kitaab
Ehsaason Ki Kitaab

Author: cipheredstanza__13

Published: 17/10/25

Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.

Chapters

کچھ Kuch

(Ehsasaat ka adhoora afsana.)


Kuch zakhm payaab hain,

Kuch zakhm sadabahar hain.

Kuch hasate hain,

Kuch rulate hain,

Kabhi khayaal aaya.

Puchh lo Rab se,

Zakhm kyun mile?

Puchhne ka hosla jab haasil hua,

Woh mantak roshan hua.

Toh yaad aaya,

Hum utne bhi begunah nahi

Jitna khud ko samajhte rahe.

Zehn mein ek sawaal aaya,

Rab se puchhne ke qabil hai tu?

Dil ne fauran nafi ki — "nahi."

Aur ek sawaal aaya,

Tum kahan ke sachchey ho?


— Hifza