Ehsaason Ki Kitaab
Ehsaason Ki Kitaab

Author: cipheredstanza__13

Published: 17/10/25

Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.

Chapters


مستقبل MUSTAQBIL

(Tu ek hazaaron dil ki kashmakash hai)


Tu aa toh sahi tab milenge,

Tere aana par kya hoga.?

Iss uljhan mein phase hai hazaron.

Unhe batlaa toh sahi,

Tu itna bhi sitamzarf nahi.


Tu aata,

Kabhi khusiyan gunjti,

Kabhi cheekhein,

Par logon ke sochne se tu badlega nahi.

Unhe samjhao toh sahi.


Tujhe sirf dua ke zariye badalna hai.

Aur khud ke haal ke sahare banana hai.


Tu aaega,

Kya hoga,

Kya nahi?


Inmein ulajh kar kuch bhi ho sakta hai nahi.

Lakh ghabraye insaan,

Tujhe aana hai,

Tu aa toh sahi.


Tu ek peheli hai,

Jo logon se suljhegi nahi

Ye fikr mein pade logon ko tu samjha toh sahi.


-Hifza