Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
ADHURI DAASTAN ادھوری داستان
(Tujh mein rab ke faisle chupe hai.)
Adhuri thi woh batein,
Jo kal honi thi.
Par aaj hui nahi,
Shayad raaz adhurein lafzon mein chupa hai.
Adhuri thi mulaqaatein,
Jo hui nahi.
Shayad na hone mein dil giraft hone se bacha hai.
Adhura tha woh safar,
Jo manzil par pahucha nhi.
Shayad manzil galat thi isliye woh utarne se bacha hai.
Adhurein thein woh panne,
Shayad adhurein lafzon mein hi paigaam chupa hai .
Adhuri hai Kai daastan,
Shayad mukammal hone mein adhurapan ek tohfa bana hai.
-Hifza