Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
لمحات Lamhaat
(Tum khud me ek sadi samaye baithe ho)
Ek lamha jismein,
Woh paigaam aata.
Ya koi doot,
Phir lamha toh chala jata hai.
Par lamhe ke baatein aur pal nahi,
paigaam mein ashq ho,
Toh cheekhein gunjti hai.
Koi cheekhta hai,
Koi munjamit ho jata hai.
Phir lamhe ke baad,
Ek dusra lamha aata hai
Jismein uske hone ka ehsaas ho jata hai
Phir ehsaas ke baad,
Qubuliyat hoti,
Phir agle lamhe
Sannata chah jata hai.
Phir dil toh dhadakta hai
Par sab badal jata hai.
Uss lamhe ke baad,
Phir ek lamha aata hai.
Jismein insaan uss lamhe ke lamhaat ko jeena seekh jata hai.
Par mukhtalf shakhshiyat banne ke baad.
Yuhi lamha aata hai.
-Hifza.