Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
خاموشیاں KHAMOSHIYAN
(Tum bolti bahut ho log sunte nahi hai.)
Kitna kuch bayan karti hai yeh.
Shiddat-e-dard bayan karne ko alfaaz na ho,
Toh saath deti hai khamoshiyan.
Khushiyan alfaaz bayan na kar sake,
Toh saath deti hai khamoshiyan.
Sochon mein dubein toh gehrai,
Na samjhe jab log batein,
Toh bhi saath deti hai khamoshiyan.
Kabhi insaani sabr ki gawahi,
Kabhi na hui sunwayi,
Toh saath deti hai khamoshiyan.
Achanak hue hadse,
Ki qubooliyat mein.
Saath deti hai khamoshiyan,
Achanak puri hui dua,
Ki khilkahri ho,
Toh bhi saath deti hai khamoshiyan.
Tum suno toh sahi
Har jazbaat bayan karti hai yeh khamoshiyan.
-Hifza