Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
حال HAAL
(Tu azeem logon ke haath laga ek anmol tohfa hai.)
Tu beet gaya toh,
beeta kal kehlaya.
Tujhe aana hai toh,
aane wala kal kehlaya.
Koi tujh mein beetein huye lamho par ranjeeda hai.
Koi aane wale kal mein kya hona iss par ghabraya hai.
Par kyu koi tujh mein jee nahi paya hai?
Kyu maazi ke panno ke baab mein tumhe gavaya hai.
Kyu mustaqbil ki fikr mein tujhe aaj gavaya hai.
Ajeeb hai Ashraf-ul-makhluque,
Jab tu hi maazi,
Tu mustaqbil hoga.
Jo haal unhe ek mukhtalif insaan banaega.
Kyu beetein aur aane wale kal mein uljha hai.
Kyu nahi haal tujhe aaj sawaara hai?
Haal tum koyle mein chupa nageen hai,
Jise sirf haal mein jeene Wale johriyon ne paya hai.
-Hifza