Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
عجیب ہے Ajeeb hai
(Insaan aur uski sooch)
Ajeeb hai insaan bhi
Namaze chodh di,
Kamyab tijarat ke waaste.
Kamyabi toh yaad hai,
Magar kamyabi ki paanch
dawaton par jaana nahi.
Roza chodh gaya,
Imtehaan mein awwal aane ke waaste,
Awwal aana yaad raha,
Magar sirf duniya ke saamne.
Naqaam aakhirat bhi qabool hai
awwal darje ke waaste.
Sirf duniya ek imtehaan hai yeh
bhool gaye.
Allah ko bhool gaye,
Rozi ki talaash mein.
Rizq toh yaad raha,
Raaziq ko bhool gaye.
-Hifza.