Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
دل DIL
(Ye dil ziddi bahut hai kuch samjhta nahi hai)
Ye insaani dil,
Chahta bahut hai.
Lakh samjhaye masir se fateh mumqin nahi,
Par chahta bahut.
Likhi hai jisne kaynaat,
Muqarrar ki hai usne har ek baat.
Waqt hai har tabeer ka
Waqt hai har tabdeel ka.
Bakht mein hayat aur maut bayan hui hai,
Use chodh kuch cheezein dua,
Se muqarrar honi hai.
Par hoga wahi hai,
Jo tadqqer mein muqarrar hai.
Na waqt se pehle,
Na waqt ke baad.
Jo ikhtiyar mein nahi hai,
Woh hoga nahi.
Par aksar use yeh dil chahta bahut hai.
Ye insaani dil
Ziddi bahut hai
Jo ikhtiyar mein nahi
Woh use chahta bahut hai.
-Hifza.