Ehsaason Ki Kitaab
Ehsaason Ki Kitaab

Author: cipheredstanza__13

Published: 17/10/25

Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.

Chapters

مشکلیں MUSHKILEIN

(Tu hai rab ka ek azeem tohfa.)


Behtareen ustaad hoti hai yeh mushkilein,

Kabhi sikhati hai,

Halaton ko paar karna.


Toh kabhi karati hai,

Aane wale dino mein kaam aane wale tajurbe.

Kabhi ustaad zindagi ki raah mein,

Toh kabhi talaba,

Banati hai yeh mushkilein.


Kabhi rab ke faislon par sar jhuk wati hai,

Kabhi shukr mein sar jhukana sikhati hai yeh mushkilein.


Jo barson se na gira ho sajdo,

Unhe sajdon ki ahmiyat sikhati hai.

Jo shukr karein unhe rab ki rahmat ka ehsaas dilati hai.


Yeh aati bhi tabhi hai,

Jab rab aazmata ya,

Ya kabhi hamein uske hone ka bawar karata hai.


Jo tham jata hai unhe satati hai,

Jo sabr ke saath ladh leta hai,

Unhe badhati hai.


Dekho agar toh har ehsaas mein ek qadr hai

Unmein se ek hai,

Yeh mushkilein.


-Hifza.