Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
دُعا DUA
(Rab ki azeem rehmat)
Jo rab tak meri faryaad bann pahuche,
Woh hai dua.
Jo rab ki hai khoobsurat nemat,
Woh hai dua.
Jo muqammal hui,
Toh daastan puri hui,
Woh hai dua.
Jo na qubool hui,
Toh Muqarrar hai roze-e-mehshar mein qubooliyat,
Woh hai dua.
Jo kisi ki afiyat ki faryaad ho,
Woh hai Dua.
Jo namumkin ko mumkin karne ka hai zariya,
Woh hai dua.
Jo paigambaro ne maangi ,
Woh hai dua.
Jo hai shukra ada karne ka zariya,
Woh hai dua.
Jo arsh tak pahuche kabhi na laute,
Ya mehfooz ya qubool,
Woh hai dua.
Jo bin bole qalb ki faryaab pahuchaye,
Woh hai dua.
Jo Mere Allah se guftagu karwaye,
Woh hai Dua.
-Hifza.