Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
کافر Kafir
(Khuda se juda kon hai?)
Kafir kaun hai?
Kaun hai kafir?
Musalmaan ka har firqa,
Ek dusre ko kafir maan baitha hai.
Deoband, Barelvi ko kafir,
Barelvi, Deoband ko kafir.
Kisi ko AhleHadees,
Kisi ko Sunni kaha gaya.
Aaj poochti hoon main — musalmaan kaun hai?
Ek firqe ke hisaab se dusra firqa kafir,
Toh asli kafir kaun hai?
Yeh ikhtiyaar toh Khuda ka hai,
Ke woh faisla kare kaun sahi, kaun ghalat.
Yeh ikhtiyaar insaan kyun le baitha hai?
Khuda jaane woh kis ke dil mein
Woh asal mein basta hai.
Khuda jaane kiski namaz woh
Qubool karta hai.
Khuda jaane kaun mohabbat
Aur kaun riyakari karta hai.
Hum kaun hain?
Bashar.
Phir hum munsif kyun ban baithein hain?
Kabhi kabhi hairat hoti hai
Mujhe is baat pe:
Woh kafir hi hai jo har firqe ko
Musalmaan keh baitha hai.
-Hifza.