Author: cipheredstanza__13
Published: 17/10/25
Ehsaason Ki Kitaab Waqt ke panno se kuch guftugu ki hai maine jo zaruri thi mere zindagi ki kitaab mein. "Jahaan har ehsaas ek nazm bani, jo baatein, ehsaas aur khwahishein hum bayan na kar sake, unhe maine alfaaz ke motiyon mein piroya hai." Yeh Ehsaason Ki Kitaab un sab ke liye hai jo apne dil ke jazbaat ko alfaaz mein dhoondhte hain. Har nazm aapse kuch kehna chahti hai — kabhi aapka haath thaam kar, toh kabhi aapke dil se guftugu karte hue. Jo ehsaas hum aksar bayan nahi kar paate, maine unhe nazmon ke zariye zinda kar diya hai. Har moti ek daastaan hai, jo zindagi se rubaru karati hai. Yeh kitaab un sab ke liye hai jo har nazm mein apni zindagi ka aks dekhna chahte hain.
ماضی MAAZI
(Bahut azaadi se qaid kiya hai tu ne mujhe,
Ab aman qaim kar,
Tujhse rehaayi ka waqt hai).
Bahut ahmiyat di maine tujhe,
Tu guzra hua kal hai meri zindagi ki kitaab ka.
Kuch nadaaniya,
Kuch shararate,
Hai meri unn panno mein.
Jispe kahi musquraya,
Kahi nadim hua dil mera.
Kuch gunah honge,
Jaane aur anjaane.
Par kya mai nadaan nahi thi?
Kya mai be-ilm nahi thi?
Ya kya mai hassas nahi thi ya sharminda?
Par aye maazi,
Rab raheem hai mera.
Jo kar liya tauba maine,
Usne naam-e-amaal paak kar diya.
Jab ab tu mere naam-e-amaal mein nahi,
Toh teri jagah ab mere dil mein nahi.
Mere zehen ko tu chhodh de,
Maan liya Maine tu kal ki guzri daastan hai.
Woh mere rone se badlegi nahi,
Woh kal ab aane wapis nahi.
Toh khud par ab rahem karte,
Apne zehen ko sukoon dene ka thaan liya hai maine.
Jo galtiyon se seekha,
Woh aaj ki kitaab mein likh liya,
Aye mere maazi ab tujhe alvida kehna hai.
Shukriya mujhe galtiyon se sikhane ke liye.
Shukriya mujhe rab ke kareeb lane ke liye.
Shukriya mujhe tajurbe de ek behtar insaan banane ke liye.
Par ab tu raigaan hai meri zindagi ki kitaab mein.
Band karti hu yeh kitaab aaj mai.
Kehna tha tujhe alvida,
So lo aaj kehti hu tujhe.
-Hifza