Author: ishk_unveiled
Published: 07/11/25
Pulsating Ink is a collection of poetry I wrote whenever I could, as I rarely write poetry. These couplets and verses are filled with emotions that pulsate, lingering even years after the ink dries and vaporises. Every stroke of the pen pulls the words deeper, each line dripping with sparkling emotions. That is Pulsating ink for me.
Ek nayi lahar si aayi meri zindagi mein
Ek naye safar ka aagaaz hua
Kuch naye chehre ab anjane nahi rahe
Kuch baatein ab unkahi nahi rahi
Ek unka kadam yun meri zindagi mein aise dastak laaye ki
Mujh anjaan ko maloom na tha
Unki baaton se, Unke lehje se
Mujhe mohabbat ho gayi
(Kyunki unn jaise se main bekhabar thi)
Phir ek mod aaya
Woh panchhi udd gaya apne naye raaston ko tay karte hue
Aur main, meri tanhai, aksar baatein krne lage
Ki woh mujhe kuch yun batane aaye the,
Suniye meri jaan,
Aapke liye ek khabar aapke hone wale zawj ke taraf se
Aap toh mujhse mohabbat kar baithi
Jab woh hai
Woh hai, jo aayenge
Aapke dil pe dastak yun denge ki
Aap khudko, apne dil ko nhi sambhal payengi
Unka bas yehi paygham hai ki,
Sabr rakhiye, khud pe bharosa rakhiye
Aap bahut kuch kar sakti hai iss duniya mein
Yeh taaleem unmein se ek hai
Yun ghabraye nahi
Bas badhte chale jaiye aage ki orr
"Ab bas kuch hi mahine baaki hai humare darmiyan
Ab bas aapse milne ki yeh besabri humse ho nahi rahi hai"
Dil thaam ke baithiye,
Aa rahe hai woh.
" Aa rha hun main "